
Tumhara yun Gam ko chupa kar muskurana
Yun haste hue zindagi bitana
Khud ko bhool,Mujh par
Apni zindagi kurbaan karna
Karz raha hum pe
Bin bataye mere mann ki baat jaan Lena
saari pareshaaniyo ko aapna bana lena
Kitne gustakhiya, nadaaniya,yun hi maaf kar dena
Karz raha hum pe
Bhula na payenge ye din
aur na hi aapki yaadein
Rehna payenge Hum bin
Dohrayein aapki baatein....